Sunday, 23 September 2012

Dil par jaadu chaya hai....


Tujhme jane kaisa jadu hai
Jo man ko mere bhaya hai
Chain nahi ab dil ko mere hai
Ab to dil par jaadu chaya hai
Bahut sambhala dil ko maine
Par dil bekabu ho gaya
Bahut ki koshish rokne ki par
Jane kaha gum ho gaya
Dhund dhund kar apne dil ko
pagal si main hone lagi
Na jane apne dil ke bina
main kahi khone lagi
Dil ke bina bhi kya koi jeeta hai
Ye jankar bhi pata nahi dil kyun manmani karta hai
Use dundhne me baichain si main hui ja rahi thi
Kai sawal the man me jin ke jawab khojti ja rahi thi
Kaha hoga kaisa hoga chinta mujhe satayi ja rahi thi
Par dil ko mere apni hi dhun sawar hue ja rahi thi
Gumsum sa mujhe kar gaya mera dil
Jane kyun na rah gaya mera hi ab mera dil
Kyun paraya kar gaya mujhe mera dil
Kyun sambhal na paya mujhse hi ab mera dil
Ek din achanak mera dil samne aya
Bade pyar se mujhe chidhaya
Kaha..
Kisi nek dil ne mujhse apni chahat ka izhar kiya
Aur pata nahi kaise mujhe apna bana liya
Maine pyar kiya hai ikrar tumhe karna hoga
Pyar ka yeh bhog ab tumhe chakhna hi hoga
Kahte hue dil naach raha tha
Wo khushi se jhum raha tha
Mera dil khush tha main bhi khush hone lagi
Dil ki kahi baton par jane kaise chalne lagi
Uske hi khayalon me jane kaise khone lagi
Mera dil ab mera na tha
Par uska dil ab mera hai
Mera dil to mujhse sambhla nahi
Uska dil sambhalna hai
Dil par jaadu chata hai to jane kya kya hota hai
Mere dil par jaadu chaya hai
Ab dil par jaadu chaya hai

Saturday, 22 September 2012

Tab kaha the.....

Yad hai mujhe diya tha dil tumhe
Kah kar amanat hai meri
Rakhna sambhal ke har waqt har lamha
Toot raha tha jab wo tab kaha the

Yad hai wo lamha mujhe diya tha ek duje ko jab humne apna hath
Kiya tha ye wada zindagi bhar na chodenge ek dusre ka sath
Gir rahi thi main chahiye the sambhalne ke liye tumhare hath
Tab kaha the

Yad hai mujhe meri majburiyon par kabhi hansti thi ye duniya
Jab main nirash hoti thi to samne akar hath mera tham jo tum lete the
Har jakhm har nirasha har dukh usi pal bhula dete the
Has raha tha sansar ek bar phir mere upar tab kaha the

Yad hai wo wada jisme dhadkan meri tum aur main tumhari thi
Wada tha rukne na denge dhadkano ko ek duje ki kabhi
Kisse kahu ki ye dhadkane ruki ja rahi thi tere liye
Tab kaha the

Dil....


Is dil ne dard diya to kya galat kiya
Agar na deta to dard kya hota hai koi janta kaise

Is dil ne tadap di to kya galat kiya
Agar na deta to tadap kya hoti hai koi janta kaise

Is dil ne aankhon me aansu diye to kya galat kiya
Agar na deta to aansuon ki kimat koi janta kaise

Is dil ne dhoka diya to kya galat kiya
Agar nahi deta to dhokhe ka dard koi samajhta kaise

Dil to pyar me andha ho jata hai
Andhapan kya hai wo jane kaise

Dil to pyar me hans ke sab dard seh  jata hai
Dard kya hota hai wo jane kaise

Dil to pyar me dhokha kha jata hai
Dhokhebajon ko pahchane kaise

Dil ko koste waqt ye kyun bhul jata hai koi insan
Ki isi dil ne to di hai pyar karne walon ko ek pahchan

Dil ne pyar karne ki himmat to dikhai
Warna kya yah himmat dikha pata koi insan

Dil ne kuch pane ki chah to rakhi
Warna jab dil hi nahi to kya chah karta koi insan

Itihas gawah hai ki dil logo ko pyar karna sikhata raha hai
Aur pyar itihas me apna nam rachata raha hai



Thursday, 13 September 2012



Dil ke kisi kone me jane kab tha wo aya
Sabse pahle dil ke angan par hai jagah banaya
Dil ke darwaze ko jaise hi dastak thi uski ayi
Khud se hatkar usne ghar ke andar jagah hai uski banayi
Ghar ke andar dheere dheere ghus raha tha is kadar
Dil bhi uski in shararaton se tha ekdum bekhabar
Andar ghuskar usne dil ki dhadkan ko dost banaya
Dheere dheere usne dhadkan ko hai pyar jataya
Dhadkan ne pyar ki hami bharkar khud ko joro se dhadkaya
Dhadak dhadak kar usne dil ko bhi joro se behkaya
Behakte hi dil ke meri zindagi behak gayi
Na jana kab uske pyar me is kadar kho gayi
Kisi ki yad me har pal rahna accha lagne laga
Kisi ke sath har pal rahne ka sapna sajne laga
Har pal uske sath maza lagne lagi
Ek pal uske bagair saza lagne lagi
Ek din apni baahon me pyar se usne is tarah sameta
Meri duniya puri wo hai dil ne yad dilaya
Meri puri duniya wo hai mera pura sapna
Duniya me aisa hai ek jise hak se kahun main apna
Hai wo mera apna hai wo mera pyar
Bharosa jis par hai mujhe bina kisi adhar