Friday, 12 October 2012

Lahren....

Sahil se kitna pyar karti hain lahren
Na jane kitna aitbar karti hain lahren
Janti hain sahil kahin ja nahi sakta
Pal pal usse milne ati hain lahren

Pyar ke koi shabd nahi hote
Puri duniya ko jatati hain lahren
Sahil chah kar bhi kuch kah nahi sakta
Uski har jarurat ko samajhti hain lahren

Pyas lagi hai sahil ko wo kah nahi sakta
Pal pal uski pyas bujhati hain lahren
Nirasha panap bhi na paye sahil me uski asamarthta ke karan
Har pal jeene ka hausla sahil me jagati hain lahren

Sahil lahron ko dekhta muskurata sa hai
Uski ek pyar bhari muskan me jan nyochawar kar jaye ye lahren
Kis hal me hoga unka pyara sa sahil
Yeh har waqt dekhne girti uthti ati hain lahren

Sahil ko har waqt apna pyar jatati hain lahren
Pyar se apne aanchal se sahil ko swakch karti hain lahren
Pyar bhara hath sahil par har pal pherti ati jati lahren
Jag me apne pyar ko gauravanvit karti hain lahren 

Pyar....

Pyar ki rah par le to hai wo mujhko aya
Pyar ke phoolon ki khushbu ka hai ehsas bhi usne mujhe karaya
Darti thi main is pyar ke nam par
Lekin pyar ka meetha-meetha ajab sa ehsas hai usne hi mujhe karaya

Pyar me ikrar karne ki khata usne hi karayi 
Pyar me aitbar karne ki khata usne hi karayi
Nahi dekhna chahti thi main koi sapna pyar ka
Par har sapna mujhe pyar ka usne hi dikhaya

Nahi hota sacche pyar me dhokha usne hi bataya
Pyar ki har takat se usne hi avgat karaya
Pyar me kurbaniyaan hoti hain lekin
Pyar me sapnon ko khushi se kurban karke bhi muskurana usne hi sikhaya

Pyar ke har dukh se kaanp si jati thi main
Par pyar ka har dard meetha hai usne hi bataya
Pyar ki padhai me anpadh hi thi main
Pyar ka har paath usne hi sikhaya 

Saturday, 6 October 2012

Ye dil....

Ae bekhabar ye jan le
Is dil par tu raj karta hai
Ye dil bhi teri gulami me
Khushiyon ki mala bunta hai
Is bat ko ab man le
Dil me tere sapne saj gaye hain
Unhe pura karne ki chahat me
Dil tujhe salami deta hai
Jo kuch bhi ab chahe tu
Is dil se karwata hai
Har pal teri chahat me
Ye dil gulami karta hai
Jab chaha tune hasa diya
Jab chaha tune rula diya
Phir bhi teri chahat me
Ye dil dhadakta rahta hai
Jab chaha tune ise toda
Jab chaha tune ise joda
Phir bhi tere pyar me
Har pal aanhen bharta hai
Jab chaha tune apnaya
Jab chaha tune ise choda
Phir bhi tere intzar me
Rat din soye na jagta hai
Dil bhi mera pagal hai
Ek na meri mane hai
Ab jana maine kyunki isme
Tera shaashan chalta hai

Tujhe nazar na lag jaye....

Duniya dekhe tera pyar aj meri in aankhon me
Duniya dekhe tera chehra aj meri in aankhon me
Aanknhon me laga lu kala kajal kahin 
tujhe nazar na lag jaye
Tera chehra tera pyar 
dono hi ab bach jayen
Phir bhi mera man teri fikr me ghabraaye

Palken bhi ab jhuka li maine 
na koi tujhe ab dekh paye
Dekhe dhokhe se bhi to 
kala kajal tujhe bachaye
Har pal teri fikr sataye mujhe ab 
Tujhe nazar na lag jaye
Phir bhi mera man teri fikr me ghabraaye

Duniya dekhe teri khushiyan aj meri muskan me
Duniya dekhe tere sapne aj mere in karmon me
Duniya se chupkar muskaun ab kahin 
teri khushiyon ko nazar na lag jaye
Karmon ko odha du main ab pyar ki chadar
Tere sapnon ko nazar na lag jaye
Phir bhi mera man teri fikr me ghabraaye