Thursday, 13 September 2012



Dil ke kisi kone me jane kab tha wo aya
Sabse pahle dil ke angan par hai jagah banaya
Dil ke darwaze ko jaise hi dastak thi uski ayi
Khud se hatkar usne ghar ke andar jagah hai uski banayi
Ghar ke andar dheere dheere ghus raha tha is kadar
Dil bhi uski in shararaton se tha ekdum bekhabar
Andar ghuskar usne dil ki dhadkan ko dost banaya
Dheere dheere usne dhadkan ko hai pyar jataya
Dhadkan ne pyar ki hami bharkar khud ko joro se dhadkaya
Dhadak dhadak kar usne dil ko bhi joro se behkaya
Behakte hi dil ke meri zindagi behak gayi
Na jana kab uske pyar me is kadar kho gayi
Kisi ki yad me har pal rahna accha lagne laga
Kisi ke sath har pal rahne ka sapna sajne laga
Har pal uske sath maza lagne lagi
Ek pal uske bagair saza lagne lagi
Ek din apni baahon me pyar se usne is tarah sameta
Meri duniya puri wo hai dil ne yad dilaya
Meri puri duniya wo hai mera pura sapna
Duniya me aisa hai ek jise hak se kahun main apna
Hai wo mera apna hai wo mera pyar
Bharosa jis par hai mujhe bina kisi adhar

No comments:

Post a Comment