Saturday, 6 October 2012

Tujhe nazar na lag jaye....

Duniya dekhe tera pyar aj meri in aankhon me
Duniya dekhe tera chehra aj meri in aankhon me
Aanknhon me laga lu kala kajal kahin 
tujhe nazar na lag jaye
Tera chehra tera pyar 
dono hi ab bach jayen
Phir bhi mera man teri fikr me ghabraaye

Palken bhi ab jhuka li maine 
na koi tujhe ab dekh paye
Dekhe dhokhe se bhi to 
kala kajal tujhe bachaye
Har pal teri fikr sataye mujhe ab 
Tujhe nazar na lag jaye
Phir bhi mera man teri fikr me ghabraaye

Duniya dekhe teri khushiyan aj meri muskan me
Duniya dekhe tere sapne aj mere in karmon me
Duniya se chupkar muskaun ab kahin 
teri khushiyon ko nazar na lag jaye
Karmon ko odha du main ab pyar ki chadar
Tere sapnon ko nazar na lag jaye
Phir bhi mera man teri fikr me ghabraaye

No comments:

Post a Comment